सूर्य नमस्कार के 12 स्टेप्स और फायदे | Complete Guide in Hindi

Surya Namaskar के 12 चरण, लाभ और सावधानियाँ जानें। सुबह 10 मिनट में पाएं फिट और हेल्दी बॉडी।

Surya Namaskar (सूर्य नमस्कार) Yog ek important Aasan kram hai, Jisme 12 alag alag Postures hote hai. Is ko karne se Mann, Sharir or aatma (Heart, Body and Soul) Balanced rahte hai. Subah Sunrise ke time karne se iske benefits or adhik badh jaate hai.

Agar aap daily sirf 10–15 minute bhi Surya Namaskar karte ho, to aapki flexibility, stamina aur immunity naturally improve hoti hai. Daily practice se aapki body flexible aur energetic ban jati hai.

Agar aap ek simple lekin powerful yoga routine dhoondh rahe ho jo weight loss, flexibility, stamina aur mental peace sab improve kare, to Surya Namaskar best option hai.

Surya Namaskar ek complete body workout hai jo 12 poses ka sequence hota hai. Isse aapka digestion better hota hai, metabolism fast hota hai aur stress naturally kam hota hai.

 

Is article me hum detail me jaanenge:
✔ Surya Namaskar ke 12 steps
✔ Sahi breathing technique
✔ Surya Namaskar ke fayde
✔ Beginners ke liye tips
✔ Weight loss ke liye kitne round kare

What is Surya Namaskar? सूर्य नमस्कार क्या है?

Surya Namaskar ka matlab hai “Surya ko Prnam”. Yeh ek Sampurn Yog Vyayaam hai, jis se saare body parts active hote hai. Surya Namaskar ek traditional yoga sequence hai jisme 12 asanas hote hain jo flow me kiye jaate hain. Is practice me stretching, strengthening aur breathing sab include hota hai.

Daily practice se aapki body flexible aur energetic ban jati hai.

सूर्य नमस्कार की 12 अवस्थाएँ (12 Steps of Surya Namaskar)

1 प्रणामासन (Pranamasana / Prayer Pose)

How to do: Seedhe khade ho jao, dono pair saath me rakho. Palms ko chest ke saamne prayer position me jod lo. Normal breathing rakhein.

Yeh starting position hai jo mind ko calm karti hai. Mann Shaant rehta hai

2 हस्त उत्तानासन (Hasta Uttanasana/ Raised Arms Pose)

How to do: Inhale (saans andar lete hue) dono haath upar uthao. Thoda sa peeche ki taraf jhuke. Chest open rakho.

Yeh pose body ko stretch karta hai aur lungs ko activate karta hai.. Lungs/Fenfado ko majboot karta hai

3 पदहस्तासन (Padahastasana/ )

How to do: Exhale (saans bahar chhodte hue) aage jhuk jao. Haath ko pairon ke paas floor par rakho. Koshish karo ki forehead knees ko touch kare.
Yeh pose belly fat kam karne me helpful hota hai. (Pet ki Charbi /vasaa ko kam karta hai)

4 अश्व संचलनासन (Ashwa Sanchalanasana/ Low Lunge)

How to do: Inhale, ek pair peeche le jao (maan lo right leg). Left knee bend rahe aur right knee floor par touch kare. Chest ko aage uthao aur seedha dekho.
Yeh pose legs aur hips ko strong banata hai. Digestion System ko Storng karta hai

5 पर्वतासन (Parvatasana (Mountain / Downward Dog Pose)

How to do: Exhale, doosra pair bhi peeche le jao. Body ko Ulte “V” shape me le aao.
Hips upar aur heels neeche press karo.

 Yeh pose poori body ko stretch karta hai.. Haath or Kandhe Majboot bante hai

6 अष्टांग नमस्कार (Ashtanga Namaskar/ Eight-Limbed Salute)

How to do: Hips thoda upar rahe. Is pose me 8 body parts floor ko touch karte hain – dono hands, dono knees, chest, chin aur dono feet. Body me lachilaapan badhta hai

7 भुजंगासन (Bhujangasana/ Cobra Pose)

How to do: Inhale, hips ko neeche lao aur chest ko upar uthao. Elbows thode bend rakho.
Yeh pose back pain me relief deta hai aur spine ko flexible banata hai. Reedh ki born strong hoti hai

8 पर्वतासन (Parvatasana/ Mountain Pose)

How to do: dobara hips ko upar le jao aur Downward Dog position me aa jao.
Yeh step body ko reset karta hai.. Blood Circulation Sahi hota hai

9 अश्व संचलनासन (Ashwa Sanchalanasana /Low Lunge)

Inhale, jo pair peeche tha (right leg), use aage lekar aao.
Left leg peeche rahega.Chest ko upar uthao.

10 Hasta Padasana (Standing Forward Bend)

Exhale, peeche wala pair bhi aage le aao.
Dobara forward bend position me aa jao.

11 हस्त उत्तानासन Hastauttanasana (Raised Arms Pose)

Inhale, haath upar uthao aur halka sa peeche bend karo.

12 प्रणामासन Pranamasana (Prayer Pose)

Exhale, seedhe khade ho jao aur palms ko chest ke saamne jod lo.
Yeh ek half round complete hua.

👉 Complete Round kaise hoga?
Agli baar Step 4 me left leg peeche le jao aur Step 9 me left leg aage lao.
Is tarah dono side se karne par 1 full round complete hota hai.

सूर्य नमस्कार के प्रमुख फायदे/ Benefits Of Surya Namaskar
  • Full Body Exercise
  • Weight loose kanre me helpful
  • Digestion System Sahi rehta hai
  • Depression kam karta hai lagatar Yog se Depression ko khatm bhi kiya ja sakta hai
  • Body ko flexible bnata hai
  • Stress aur anxiety kam karta hai
  • Skin glow naturally badhata hai
  • Hormonal balance maintain karta hai
Surya Namaskar Kab Kare?

✔ Subah empty stomach sabse best time hai
✔ Sunrise ke time karna ideal hota hai
✔ Fresh air me karein

Weight Loss ke liye Kitne Round Kare?
  • Beginners: 3–5 rounds
  • Intermediate: 6–9 rounds
  • Advanced: 12 rounds daily

Gradually increase karein, body par pressure na dalein.

Important Tips for Beginners
  • Hamesha empty stomach karein
  • Slow aur controlled movement rakhein
  • Breathing pattern follow karein
  • Agar back pain ya medical issue ho to doctor se consult karein
  • Pregnancy me doctor se puch ke kare
❓ FAQ – Surya Namaskar se Jude Sawal

Q1. Kya Surya Namaskar se belly fat kam hota hai?

Haan, daily practice aur proper diet ke sath belly fat kam hota hai.

Q2. Kya beginners Surya Namaskar kar sakte hain?

Bilkul, slow pace me start karein.

Q3. Kya Surya Namaskar gym ka alternative hai?

Haan, yeh ek complete body workout hai.

Q4. Periods me Surya Namaskar kar sakte hain?

Heavy flow me avoid karein, light stretching kar sakte hain.

Conclusion

Surya Namaskar ek complete yog exercise hai jo body mind or heart ke liye useful hai. Agr aap 10-15 Minutes roj Suryanamaskar kare to apke health behtar hogi.

#SuryaNamaskar
#YogaInHindi
#MorningYoga
#WeightLossYoga
#HealthyLifestyle
#YogaBenefits
#FitnessIndia

2 thoughts on “सूर्य नमस्कार के 12 स्टेप्स और फायदे | Complete Guide in Hindi”

Leave a Comment

आपका ईमेल पता प्रकाशित नहीं किया जाएगा. आवश्यक फ़ील्ड चिह्नित हैं *